DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 361,

Hazrat Abu Salamah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) Hamare Paas Tashreef laye to Hamne Khane ka Ehtemam kiya,To Aapne farmaya : Mere Bache Khane se pahle Bismillah Padho,Seedhe Haath(Right Hand) se khavo,aur Apne Bartan me Saamne ke Hsseh se khavo.
(Vol/2,H,No :1976),
Dars : Khane Pahle Bismillah Aur Khane ki dua padhna Sunnat hai,aur is Amal ki Barkat se Allah Rizq me Barkat ata karta hai,aur Shaitan Hamare Khane me Shamil Nahi hota hai,Warna Jis khane per Allah ka Naam Nahi liya jata hai,to us Khane me Shaitan Shamil hojata hai,
Agar Khane ke Shuru me Bismillah ya Dua Na padhe to Khaane ke baad bhi padh sakte hai,
●● 2 Haath bhi Allah ke diye huve hai,lekin unka Istemal ka tareeqah Alag wa mukhtalif hai,isiliye Seedhe Haath(Right Hand) se khana khana hai,aur Har Barkat wali Cheez ko Seedhe Haath se hi karne ka Hukm aya hai,taake Sunnat per Amal bhi hojaye aur Barkat ka zariyah bhi hojaye,
Haan,Agar Seedha Haath Na ho ya Mashghool ho yani usme khana laga ho ya Zakhmi hojaye to Ab Baye Haath(Left Hand) ko bhi istemal karsakte hain,
Allah ke Zikr ki Tasbeeh 2 Haath ki Ungliyo(fingers) ke zariyeh bhi karsakte hai,usme sirf Seedha Haath hi Nahi balke Baya Haath bhi istemal karne me koi Haraj Nahi hai,
■■ Khane ke Aadab ye hai,ke Bartan ke Saamne ke Hisseh se aaghaz kare Na ke Bartan ke kinareh ke Hisseh se kyu ke aysa karne se khane me jo Nazafat hoti hai,wo Baaqi Nahi rahti hai,
Haan,Agar Dastarkhan per kayi qisam ki Cheeze ho to ab jo Pasand ho usko kahi se bhi lekar kha sakte hain,
Allah hame Sunnat ke tariqo per khane kj taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like