DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER :KHANE KE AHKAM,DAY : 360,

Hazrat Anas Bin Malik(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Raat me Ek Mutthi Barabar bhi Khana kyu Na ho usko khaliya karo,Kyu ke Raat me Bhooka Sona Boodha kardeta hai.
(Vol/2,H,No :1975),
Dars :Yani Raat me khaye baghir Nahi sona chahiye agar khana Thoda bhi muyassar hojaye to usko khalena hai,Bhooke Nahi sona hai,kyu ke Bhooke sone(sleeping) se Budhapa yani Jism me Kamzori paida hojati hai,
●● Jab jism me Kamzori ajati hai,to Bandah phir khushu ke saath Allah ki ibadat Nahi karpata hai,aur Na kasrat se ibadat me mashghool rahta hai,jab ke Allah Azza wa jalla Chahte hi ye hai,ke Bandah hamesha Allah ki ibadat aur usko yaad karta rahe,Taake Bandeh ki Taqat wa Mazboot jism ki Ahamiyyat 2 Jahan me Baaqi rahe warna jo Mazboot jism wale Ibadat se Ghafil rahte hai,unka 2 jahan me Koi etebar hai,aur Na hi koi faidah..!!
Allahu Akbar kabeera….
Allah hame jismani wa roohani Taqat me izafah karne walo me se bana de..Ameen

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like