DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : KHAREED WA FAROKHT , DAY : 276,

Hazrat Ubaid Bin Rifa’ah,Wo Apne Walid se aur wo ap e Dada (raziyallahuanhum) se rivayat kiye aur Kaha,Rasool e Akram(Sallallahualihwasallam) ke saath Main tha,hum ek maqam per se guzar rahe the,to Waha log Khareed wa Furokht kar rahe the,to aapne farmaya : Aye Moashreh ke Tajiro,Tum meri Baat ki itteba karo to saare log apni Gardane aur Aankhe aapki taraf mutawajjuh kardiye,to aapne farmaya : Kal Qiyamat me Jhoote Tajiro ko “FAJIR” ke Laqab ke saath uthaya jayega,sivaye us tajir ke jo Allah se darta ho,Sacha,Aur Husne Sulook karne wala ho ye fajir Ke laqab se Nahi uthaya jayega.

(Vol/1,H,No :1254),
Dars :Fajir us Shaks ko kahte hai,jo Khul kar Gunah karta ho,aur uske doosre meaning :Jo Gunah karte waqt Na darta ho,etc..
Sacha Tajir : Wahi hota hai,jo Apni Tijarat (Buiseness) me amanatdaari ka khayal rakhe aur doosro ki tijarat per Buri Niyyat bhi Na rakhe,aur doosro ke karobar me khamiyan bhi Bayan na kare,
kyu ke Aksar log apni hi tijarat aur Dukan ke samaan etc..ko acha aur umdah sabit karne ki koshish karte rahte hain,aur doosro ke karobar me khamiyan doosro ke saamne bayan karte rahte hain,taake doosro ki tijarat per Bura Asar pade,aur ye kamiyab hojaye..!!
ye Sahi Nahi hai,isko sacchayi Nahi kahte hai,
Kamiyabi Allah ki taraf se hoti hai,aur wo Sacche logo ke Naseeb me hi hoti hai,
Husne Sulook : Har waqt har ek insaan ke saath karna hai,chahe wo musalman ho ya ghair muslim,aur Tijarat me to Tajir jitna Acha Sulook Customer ke saath karega utne hi grahak uski dukaan ke paas ayenge aur us se dukaan aur tijarat ka naam bhi hoga,insha Allah.
Allah saare islami bhayiyo ki tijarat me Amanat wa Barkat ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic Web site..:anwaarulislam,com.

You might also like