DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : KHAREED WA FAROOKHT , DAY : 275,

Hazrat Abu Saeed(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Tajir (Buisenessman) Sacha aur Amanat dar hota hai,to Kal Qiyamat me wo Ambiya e Kiram aur Siddiqeen ke saath rahega.
(Vol/1,H,No :1252),
Dars : Sacchai Ka Acha Asar Tijarat per aur Amanat ka Behter Asar Grahako(customer)per padhta hai,aur ye dono cheezo ke zariyeh Bandah Dunya me Kamiyab hojata hai,aur Akhirat me uska Behter Anjam hota hai,
Sacchai se Mehnat me,aur Amanat se izzat me izafah hota hai,
■■ Ye 2 Cheezo to Deen e islam ne saari dunya ko batayi hai,
Maafi ke Saath Aaj Saari Dunya me Tijarat aur Bazar me to Ghair hi kamiyab hai,….!!!!
Hum Musalman to kaafi peeche rahgaye hain,kuch log kamiyab bhi hain,
Wajah …..? Aap hi behter jaante hain,
Allah hame Sacchai aur Amanat ki Nemat se malamal farmaye..Amen..

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..:anwaarulislam,com.

LikeShow more reactions

Comment

You might also like