DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : LIBAS , DAY : 317,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne Farmaya :Allah ki lanat Barasti rahti hai,Us Aurat per jo Apne Sar(Head) ke Baalo me Doosro ke Baal milati hai,aur Wo Aurat jo Apne Badan per Goadne(Tuttoos) ke Nashanaat lagati hai,aur Un Aurato per Bhi jo Iska Kaam karti hain.
(Vol/2,H,No :1865),
Dars : Yani Jo Aurate apne sar ke Baalo(Hairs of head) me Doosro ke Baal lagane ka Matlab Aajkal jisko Masnooyi(Artificial) Chondah ya Choti kahte hain,iske Istemal ki ijazat Nahi hai,
Haan,Agar Aurat Shadi Shudah ho aur Kisi Beemari ki wajah se Sar ke Baal Na rahe ho to Shohar ki ijazat se Usko Waqt taur per usko istemal karne ki ijazat hai,warna Nahi,
■■ Badan per Tuttoos ke Nashanaat lagana Mard aur Aurat dono keliye Jayiz Nahi hai,kyu ke ye Eisayi(christians) ki ibadat ka ek Tareeqah hota hai,jisme Insaan,Haivaan aur Bejaan cheezo ki tasaveer banaye jate hai,
●● In Dono kaam me Shareek hone wale aur iska karobar karne walo per bhi Allah ki Lanat barasti rahti hai.
Allah is se Sabko mahfooz farmaye…Ameen.

Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site….anwaarulislam,com.

You might also like