DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 378,

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kabeera Gunah me se ye hai,ke :Insaan apne Walidani ko Gali(Gandi Baate kahna) dena hai,to ek shaks ne sawal kiya Ya Rasoolallah Kiya insaan apne walidain ko bhi Gali deta hai ?!
Aapne Farmaya :Wo Doosro ke walidain ko Gali deta hai,to wo bhi Iske Walidain ko gali deta hai..
(Vol/2,Hadees No :2024),
Dars : Yani ye Shaks doosre ko gali dekar usko iske walidain ko gale dene per majboor kar deta hai,aur yahi Gali dene ka Sabab ban jata hai,
Ab iska matlab ye nahi ke wo dooara shaks bhi gali de de..Balke wo wo Sabr kare aur Gali dene se roke aur khud bhi ruk jaye,
■■ Deen e islam me kisi bhi Mazhab ke logo aur unke walidain ko Gali dene se roka gaya hai,
Baaz ,,Maqamat wa Riyasato me Maa ke bare me Gali dena Aam hogaya hai,jab unse pooche to kahte hain,ke ye Hamare Paas Aam hai,to unko Chahiye ke in Behoodah Baato se khud ko rok le warna Aam museebat me sab ke saath wo bhi mubtala hojayenge…Allahu Akbar kabeera…
Allah hame zuban ki hifazat karne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like