DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 396,Hadees No :2052,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Ek Musalman Doosre Musalman ka Bhai hai,Wo Uske saath Dhoka Na kare,aur Jhoot Na bole,Ek Musalman ki Izzat,Uska Maal aur Khoon(Blood) Doosre Musalman per “HARAM” hai,aur Dunya me Sharr se Bachna ho to Kisi Musalman ko Haqeer(Chota) Na Samjho.
(Vol/2,H,No :2052),
Dars : Aaj Dunya me Har taraf Sharr hai,to us shar se Bachne ke Asbaab me se ek Sabab Kisi Musalman ko Chota wa Haqeer Nahi samajhna Chahiye,Dawlat,Shohrat waqti hote hain,uski Bunyad per kisi Musalman ko Haqeer samjhe to wo Dawlat wa Shohrat ko Allah Cheen leta hai,phir usko Ghareeb wa Zaleel kardeta hai,
●● Kisi ka Maal Dhoke se Lena,kisi ki Be Izzati karna,Aur apni taqat ya kisi ki madad se Doosro ko Be Sabab Qatl karne se Allah usko “JAHANNAM” me Dhakel deta hai,
■■ Ek Musalman Doosre Musalman ka Bhai hai,isko jo Zahen me rakhega to wo Kabhi is Dunya me Akela wa Kamzor Nahi hosakta hai,
Lehaza Hame apasi Ekhtelafaat wa Ranjisho se Bachna chahiye,aur Apas me Mohabbat ka Mahol banana chahiye to khud ba khud Ittehad paida hojayega….
Insha Allah..
Allah hame Muttahid bana de aur hame Alag karne walo ko ham se hi door karde..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like