DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 408,Hadees No :2061,
Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Dunya me Sirf 2 Aadmiyo per Rashk(Us jaise Allah hum ko bhi bana de) karo :
1) Wo Shaks Jisko Allah Maal ata kiya ho aur wo shaks us Maal ko Din Raat Allah ke Raasteh me Kharch karta ho,
2) Wo Shaks Jo Hafiz e Quran ho aur wo Din Raat Allah ki Ibadat me Masroof rahta ho.
(Vol/2,Hadees No :2061),
Dars : Allah ke diye huve maal ko Allah ke hi Raasteh Jo Din Raat kharch karta hai,to Allah bhi uske Rizq me Din Raat Barkat hi Barkat ata karta hai,kyu me Sadqah karne se Insaan ka Maal ziyadah hi hote rahta hai,kabhi kam Nahi hota hai,
Lekin Aaj Baaz Maal Daar logo ka Haal yahi dekhne me aata hai,ke Nikah ya apne kisi Function me Be Hisab Maal kharch karte hain,Lekin Jab Allah ke Raasteh jaise Masjid,Imam wa Moazzan ki Tankhah(salary),zakaat aur Nafil Sadaqaat ki Baat hoto jab Paiso ka Hisab etc..aur Loan Yaad ajata hai….aur Bahane Banakar Maal ko rok lete hain,jis se Beemariyo me mubtala hojate hain…
Allahu Akbar Kabeera…
●● Huffaz e Kiram wa Ulama e Izam ki Sab se Badi iBadat Allah ke Din ko Pahlana hai,jabke Farayiz wa Wajibaat aur Sunnate to ada karna hi hai,Deen ki Khidmat unki Ahem Ibadat hoti hai,Jab koi Deen ki Ek Baat bhi kisi Doosre ko Bataye to unko Allah saara din ibadat ka Sawab ata karta ha,
Lekin Shart ye hai,ke :
“HAFIZ WA ALIM PAHLE US BAAT PER KHUD AMAL KARE TO WO BAAT DOOSRO PER BHI ASAR KAREGI WARNA DUNYA ME KAHNE WALE HI BOHAT ZIYADAH HOJAYENGE AUR AMAL KARNE WALA KAM..!!”
Allah hame Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.