DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 410,Hadees No :2063,

 

Hazrat Umme Kulsoom Binte Uqbah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kahi,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Logo me Islah ki Niyyat se Baat ko Mauqeh ke Munasib pesh kare to Wo Jhoota Nahi kahlayega,kyu ke Wo Khair hi kahta hai,ya Khair ke Chahta hai.
(Vol/2,Hadees No :2063),
Dars :Yani Logo me Islah karana ho to agar Saamne wala Shaks Is Shaks ke Bare me Agar Bura bhi kahe to Isko Yahi kahna ke wo Shaks Tumhare Bare me Bohat Achi wa Bhalayi ki Baate Kar raha tha,aur Tumko Ache Andaz me yaad kar raha tha..etc..kahe to iske Dil me uske liye Mohabbat paida hogi aur Apas me Dushmani khatam bhi hojayegi..insha Allah
Jab koi Aysa kare to usko Jhoota Nahi kaha jayega,kyu ke uski Niyyat Bhalayi ki hai,
●● Ab Har koi Apna Hisab le ke Hamara doosro ko Milane me kisa Ravayyah hai??
Allah hame Ek doosre ko Milane wala banaye Juda karne wala Na banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like