DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 421,Hadees No :2081,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Logo ka Shukr Ada Nahi karta to wo Allah ka bhi Shukr Ada Nahi karega.
(Vol/2,Hadees No :2081),
Dars : Shukr ki 2 Qisme hoti hai,
Ek Zuban se Doosre ki Madad per Dua ke Kalimeh kahna jaise “JAZAK ALLAH”
agar saamne wale ek se ziyadah ho to “JAZAKUMULLAH” uske saath “KHAIRA” YA KHAIRAN KASEERA” bhi izafah karsakte hain,
Doosri Qisam Apne Kaam se kisi madad karne wale ki Kaam hi se Madad karna Shukr ada karne me aata hai,
■■ Madad Karne Wala koi bhi ho Muslim ho ya Ghair Muslim sabka Shukr ada karna hai,Ye Hamari Tahzeeb hai,
●● Hum Sabka Shukriya Ada karte hain,Lekin Aksar apne Gharwalo aur Qareebi Rishtehdaaro ka Shukriya ada Nahi karte phir kahte hain,ke Apno me Shukriya kaisa ?
Ye To Apasi Mohabbat wa Khuloos ki wajah se kahte hain,Lekin Apno ka Bhi Shukriyah Ada karna Islami Taleemat me se hai,
■■ Bandah Jitna Shukriya Ada karega Allah uski Nemato me Dugna(Double) izafah farmayeg,ex…Khane ke Ek Luqmeh pe *ALLAHUMMA LAKAL HAMD WA LAKASH SHUKR* kahega to uski Taqdeer me Allah Rizq ke Darwazo ko khol dega,
Allah hame Shukr karne wala Bandah Banaye…Ameen.
Plz…Share it to All,for more Visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like