DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 427,Hadees No :2086,

 

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab koi Shaks Tumse Koi Baat kahe,phir wo Chala jaye to Uski Baat Aapke Paas Amanat hai.
(Vol/2,Hadees No :2086),
Dars :Ek Insaan ka Doosre Insaan ke saath Ta’alluq ki Bunyad Apasi Guftugu hoti hai,aur usi Guftugu se Wo pas me Saathi Banjate hai,aur ek doosre per Bharosah qayim hota hai,to Unme Wo Yaqeen wa Etemad us waqt Tak Qayim rahta hai,jab tak ke wo apni Apasi Bato ko Doosre ke Saamne Bayan Na kare,kyu ke wo Baate “AMANAT” hoti hain,
Jab Wo apni Apasi Baato ko Doosro se bhi Bayan karne lag jaye to ab wo Apasi Yaqeen wa Etemad bhi khatam hojayega,aur Fasad bhi pahelne lage ga,Ye Dars Har ek keliye hai,YaniWalidain ka Awlaad ki Baat Ustad ka Shagird ke Baato,Shohar ka Bivi ke Baato,etc..etc..ko Amanat Samjhe to usi me Bhalayi hai,warna Mohabbat wa Rishteh Baaqi nahi rahte hai.
Allah hame Doosro ki Baato ko Amanat samajhne wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like