DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 444,Hadees No :2112,

Hazrat ALi Bin Abu Talib(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jannat me Bohat Saare Ayse Khushnuma Kamre(Room) honge ke Unke Saamne se Peeche ke Hisseh aur Peeche Se Saamne ke Hisseh Wazeh Nazar ayenge,to ek Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Wo Kamre(Room) kis keliye honge ? To aapne farmaya : Jo Achi Baat kare,Khana Khilaye,Rozeh Rakhe aur Jab Log sojaye to wo Uth kar Namaze padhe to ayse Shaks ko Ye Jannati Kamre ata kiye jayenge.
(Vol/2,Hadees No :2112),
Dars : Jannat Momin ke Amal ki Zeenat hoti hai,Jo Bandeh ko Allah ke Fazl se Naseeb hoti hai,Bandeh ka Kaam Allah ke Ahkamaat ko Baja late huve zindagi Basar karna hai,
●● Har wo Baat Jo Sharee Daireh me ho aur wo Doosro ko Takleef Na de to Achi Baat kahlati hai,jisko karne se Saamne wala khush hojaye,
Khana Ghareebo ko khilana hai,aur Gharwalo Wa Rishtehdaro ko Taqareeb aur uske alawah me khilaye to Allah uska bhi Ajr ata karta hai,Bus Fuzool kharchi se Bachna Zaroori hai,
Farz Namaze wa Rozeh to padhna aur Rakhna zaroori hai hi,Lekin uske Saath Nafil Rozeh wa Nafil Namaze bhi padhe to Sawab bhi ziyadah milega aur Jannat me Makan bhi…insha Allah.
Allah hame in Baato per Amal ki Taufeeq ata kare…Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like