DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 447,Hadees No :2115,

Hazrat Abu Zarr Ghifari(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram

(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jaha Kahi bhi ho Allah se Daro,Aur Jab bhi Burayi ka khayal bhi aye to Nek Kaam karlo,Kyu ke Neki Burayi ko Mita deti hai,aur logo ke Saath Ache Akhlaaq se Pesh Aavo.
(Vol/2,Hadees No :2115),
Dars :Jo Eiman Wala hota hai,wo Sab ke Saamne to Gunah karne se Bach jata hai,Lekin Tanhayi me Shaitan Gunah per Ziyada uksata hai,Lehaza Tanhayi me bhi Aur Zahir me bhi Gunah se Bachna hai,aur gunaho se Hifazat usi waqt hoti hai,Jabke Bandeh ke Dil me Allah ka khauff ho,
●● Nekiya Burayi ko khatam kardeti hain,Neki ki Taqat Gunah se bohat ziyadah hoti hai,Neki 2 Jahan me Bandeh ka Saath Nahi chod ti hai,aur logo ke Saath Ache Akhlaq se Pesh Aana bhi Neki me se hai,Jis se Logo me izzat,Zindagi me Barkat aur Akhirat me Shifa’at ka Zariyah hote hain.
Allah hame In Baato per Amal ki Taufeeq ata farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like