DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 454,Hadees No :2128,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apne Mahboob(Saathi,Friend) se Motadil(medium) mohabbat karo,Hosakta hai ke Wo Ek din Tumhara Dushman hojaye,aur Apne Dushman se Motadil(Medium) Boghz rakho,Hosakta hai,ke wo Ek Din Tumhara Mahboob(Saathi) hojaye.
(Vol/2,Hadees No :2128),
Dars :Hadees e Paak me Mohabbat aurislami dushman se Boghz me Darmiyanah(Medium) Ravayyah ikhtiyar karne ki taleem di gayi hai,ke agar kisi se ziyadah mohabbat kare phir Baad me ekhtelaf ki wajah se dushman hojaye to khud ko Bohat takleef hogi,aur agar kisi Dushman se ziyadah Boghz rakhe phir Baad me wo Dost hojaye to khud pe Boghz ki wajah se Nadamat hogi lehaza Darmiyanah Ravayyah Har etebar se faidah Bakhsh hota hai,
●● Is Dunya me Sab se Milkar rahke Guzarjana hi Bada Kamal wa Kamiyabi hai,warna Har Qadam pe Dushman mil jayenge….Islam Milne ki Taleem deta hai,Bichadne ki Nahi….
Allah hame Apas me Mohabbat se zindagi basar karne ki taufeeq ata farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like