DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 455,Hadees No :2129,

 

Hazrat Abdullah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis Bandeh ki Dil me Rai(Ek danah) ke Barabar bhi Takabbur hoga to wo Jannat me Dakhil Nahi hoga,aur Jis Bandeh ke Dil me Ek Rai ke Daneh ke Barabar bhi Eiman hoga to wo Jahannam me Nahi dakhil hosakega.
(Vol/2,Hadees No :2129),
Dars : Allah ke Paas Sab se Pasandeedah Amal Bandeh ke Eiman hai,Ab har koi Bandah Apne Amal wa Aqeedeh me izafah karke Eiman me kamal Hasil karleta hai,jiska Eima jitna Kamil hoga usko utne hi Ziyadah Nemate wa In’aamat Allah ata farmayega,agar kisi ke Paas Eiman to hai,lekin Eiman me Kamal Nahi to bhi Rahman Allah us Bandeh ke Eiman ki Barkat se Usko Jannat me Dakhil farmayega aur Jahannam se Door rakhega,lekin Amal bhi zaroori hai,
Aaj Moashreh me Jo Fasid Kaam horahe hai,Muslim Ladkiyo ka Ghairo se Dosti karna ya Shadi karna,Baaz Nawjawano ka Namazo se mazaq ya Hamesha tark karna,Islami Ahkamaat se Bezari ka izhar etc…ye saari Cheeze Eiman ko Bunyad se hi Khatam karne wali hai,Jiske karne se Bandah Eiman ke Baghair hi Dunya se Chala jayega to Wo Rai ke Daneh ke Barabar bhi Eiman Na hone ki wajah se Jahannam me chala jayega..!!!
●● Takabbur :Maal,Kaam Ya Taqat se Aata hai,in 3 cheezo ko Dunya ke Kaamo me istemal kare ya Deen ke Kaamo me istemal kare Har soorat me Agar Takabbur ajaye to wo Kaam Bekar hojayega usko Sawab ke Bajaye Saza dijayegi,Takabbur ko khatam karke Aajizi ko thaam le to dunya me bhi izzat aur insha Allah Akhirat me Maghifirat wa Shafa’at milegi..
Allah hame takabbur se mahfoo kare aur Kamil Eiman Naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like