DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 484,Hadees No :2167,

 

Hazrat Usamah Bin Zaid (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab koi Tumhare saath Bhalayi kare to Usko Badleh me “JAZAKALLAH ”
(Allah aapko iska Ajr ata kare) kaho,Kyu ke Ehsan ka Behtreen Badlah Yahi hai.
(Vol/2,Hadees no :2167),
Dars : Ehsaan ke 2 Qisam ke Badleh hote hai,Ek Ache Kaam se us Ehsan ka Badlah de ya Zuban se Jazakallah kah kar Zubani Badlah de jo uske liye Dua ka kaam karegi,
●● Zubani Ehsaan ke Badleh me :
Jazakallah,Jazakallah Khair,Jazakallah Khairan Kaseera,Agar saamne wale kayi log ho to Jazakumullah kahe kahna hai,
Allah hame Zindagi ke Har pahlu me Sunnat per Amal ki Taufeeq ata kare…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like