DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 248,

Hazrat Abdullah ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jab koi Tumhe Dawat de to Uski Dawat Qubool karo.
(Vol/1,H,No :1121),
Dars : Dawat ke Bare ye bhi kahna zaroori hai ke…
DAWAT DENE WALA : Jab koi Shaks Apne Paas koi Dawat Kar raha hai,to pahle wo us dawat ke bare me acha samajh jaye ke ye dawat kiske liye ki jaye jaise..Nikah aur Doosri Khaas Gharelo dawat ho to usme Apne Rishtedaro aur Dost wa Ahbab ko dawat di jaye,aur Baaz Dawate jaise..Aqeeqah,Awr Eisal e Sawab ki Niyyat se ki jane wali dawate jaise Dahum(Mayyit ki tadfeen ke 10 din baad ki jane wali dawat) ya Chahlum (40 din me ki jane wali dawat) in Dawato me Ghareebo ka bhi Haq hota hai,lehaza is me dawat karne wala Ghareeb ke khane ka bhi ehtemam kare ya Unme Khana Taqseem kare to Dawat Ka Haq ada hoga,warna wo Dawat hi Na Mukammal hogi,
Aur Sadqah ye to Khalis Ghareebo ka hi Haq hota hai,etc…
DAWAT JISKO DI JAYE : Jab Kisi ko Dawat di jaye to wahi Shaks us Dawat me Hazir ho,uske Saath Doosre logo ko dawat me Lana Sahi Nahi hai,jis se Dawat dene wale ko Pareshani ka saamna bhi karna pad sakta hai,
■■ Aksar log Ye kahte hai,ke Dawat me hazir hone keliye Waqt Nahi hai…Waqt Nahi hai …?!
Dawat me Sunnat ko saamne rakh kar Hazir ho to insha Allah Waqt me bhi Barkat hogi…

Plz..Share it to All,For more Islamic services Visit web site..anwaarulislam,com.

You might also like