DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 254,

Hazrat Abdullah Ibne Umer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihwasallam) ne “SHIGAAR” se Mana Farmaya hai.
(Vol/1,H,No :1150),
Dars :
■■ SHIGHAAR : “Us Nikah ko Kahte hai,jis me Ek Shaks Kisi Doosre Shaks ko ye Kahe ke :
Mai Meri Bahen Ya Beti Ka Nikah Tujh se karadunga aur Tum Apni Bahen ya Beti Ka Nikah Mujh se karado aur Apas me Koi “MAHER” Nahi hoga”
Isko Shighaar kahte hai,aur is Se islam me Mana kiya gaya hai,kyu ke Nikah me Maher dena Wajib hai,agar Jo Maher Na de To Na dene wala Gunahgaar hoga,Aakhirat me Uske bare me Sawal Kiya jayega….is hadees se Nikah me Maher ki Ahammiyyat ka pata chalta hai,
□□ Baaz Ulama ne Kaha ke Jo aysa Nikah kare to Apas me Nikah ko Maher Muqarrar karke Baaqi rakha jayega,yani Maher Muqarrar karle to Kaafi hai.
Allah sab Shoharo ko Zindagi me Maher dene ki taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,For more Islamic services Visit web site :anwaarulislam,com

You might also like