DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 255,

 

Hazrat Uqbah Bin Amir(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Nikah ke Huqooq me se Ahem Haq ye hai,ke Shohar Apni Bivi Ka Maher Ada kare.
(Vol/1,H,No :1154),
Dars :Maher Ada karne ko Baaz Ulama ne Nikah ke Sharto me se bhi Kaha hai,aur Yaad rahe ke :
NIKAH ME MAHER DENA “WAJIB” hai,
■■ Jab Ladki Apna Sab kuch Shohar ko Dedeti hai,aur Apna Ghar aur Gharwale jinke saath wo apni Aadhi se ziyadah zindagi Guzari hai,wo sab kuch Shohar keliye Chod deti hai,to Phir ye Maher dene me Baaz log Taal Matol,aur Bahane banate hai ke..
Baaz kahte hai,ke Jald Maher Dena Hamare khandan me Nahi hai….!
Baaz kahte hai,Nikah to abhi huva hai,Baad me ada kardenge utni bhi jaldi kiya hai…!etc….
Yaad rahe ke :Agar Allah Maal se Nawaza hai,to Maher Naqd hi ada kardena hai,aur Agar Maal Na ho to Baad me bhi desakte hai,lekin behter hai,ke zindagi hi me ada kare,
●● Jab Shohar ka Inteqal hojata hai,to Sab log wo Bewa Khatoon ko shohar ke qareeb lakar kahte hai,ke kaho….MAINE MAHER MAAF KARDIYA…..
Maher dene ka to iqrar to Shohar ne kiya tha…,
Afsos Waqt kahi aysa Na ajaye ke Bivi usko Maaf karne ka iqrar Na karde..!!!.Isilye Zindagi hi me maher dena hai,
☆☆☆ Aksar log Maher ko Kam karne me Ziyadah zor lagate hai,Bahes karte hai,Jabke HADEES me aya hai,ke agar Maal wale ho to Ziyadah se Ziyadah maher muqarrar karo.
Bahrehal..Allah sabko Islami Ahkamaat sahi samajh kar Amal ki taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Islamic Services visit web site :anwaarulislam,com.

You might also like