DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 258,

Hazrat Ruwaif’a Bin Sabit(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Allah aur Akhirat ke din(Qiyamat) per Eiman Rakhta ho to Apne Paani se Doosro ke Kheti ko Sairab Nahi karega.
(Vol/1,H,No :1159),
Dars : is Hadees e paak ke kayi tashreehaat hai,unme se ye ke…
■■ Jab koi Shaks kisi Ladki se Nikah kare,Ya Baandhi ko Khareede aur wo Ladki Pahle ke shohar se aur wo Baandhi pahle Malik se Hamilah(pregnent) ho to ab is Naye Shohar aur Naye Malik ko Waze Hamal(Delievery) se pahle Apni Bivi Aur Baandhi ke Qareeb jane ki ijazat Nahi hai,kyu ke Wo Doosro se Hamilah hai,Baad me uski ijazat hai,
●● Iska doosra Mafhoom ye hai,ke Aajkal Baaz log Shadi Shudah hokar bhi Doosro ki Biviyo(Wives) Ya Betiyo (Daughters) se Na Jayiz Ta’alluqaat Qayim karke Apne aapko Bada Chalak aur Hoshiyaar Samjhte hai…..!!!
Allahu Akbar Kabeera…..
Jabke is Harkat ki Saza ye hai,ke Allah ayse Logo se Marne se Pahle Eiman ki Dawlat Cheen leta hai,aur Wo Is Dunya se Eiman ke Baghair hi Chale jate hain…aur Doosri Saza ye hoti hai,ke Unki Bivi ya Beti se Baad me koi Doosra Na Jayiz Ta’alluqaat Qayim karleta hai,aur wo Saza ki Soorat me aakar Inse Na Jayiz Faidah hasil karta rahta hai……!!!
Lehaza Jo Aysi Gandi wa Buri Harkat me Mubtala hai,wo Jald se Jald Allah ke Darbar me Sacchi Taubah kare aur Is Gande Kaam se ruk jaye aur apni Harkato ke Sabab Apni Aurato ko Saza ka Nashanah Na banaye…
Aur Apni Bivi se hi itni Sacchi Mohabbat karo ke Doosro ki Taraf dekhne ka hi Mauqah Na mile aur is se Allah bhi Razi hojata hai….
Alkah Hame Nek Taufeeq ata kare..Ameen.

Plz..Share it to All,For more Visit our web site :

You might also like