DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER : NIKAH , DAY : 259,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(sallallahualihwasallam) ne farmaya : Jab koi Musalman bhai kisi Cheez ko Khareed(bay)raha ho to usi cheez ke bare ap Bechne wale se khareedne ki baat Mat karo,
Aur Jab koi kisi Ladki ko Nikah ka Paigham Bheje to Tum usi Ladki ko apne Nikah ka Paigham Na bhejo.
(Vol/1,H,No :1162),
Dars : Khareedne me ye hukm us waqt hai,ke Jab wo Cheez Ek hi Bazar me mirahi ho,us jaisi koi doori cheez Na ho,Aur us Ek hi Anmol chee ko koi khareed raha ho to ab usko jab ke doosra usko kahareed raha hai,to uske bare me baat karna ya usko khareedne ki koshish karna Sahi Nahi hai,
Haan,Agar wo cheez kayi yani bohat ziyadah ho,to us jaisi cheez us khareedne wale ke saamne bhi khareed sakte hain,
■■ Nikah ke bare me bhi yahi ke Jab koi Shaks kisi ladki ko Nikah ka paigham bhej de aur unka apas me Moamlah tai horaha ho to ab usi ladki ko Nikah ka paigham behjne ki ijazat Nahi hai,
Haan,Agar wo Pahle wale Paigham ka apas me Moamlah tai na huva ho ya baat Na bani ho to ab us ladki ko Nikah ka Paigham bhej sakte hain…

Plz..Share it to All,For more islamic services Visit our web site :anwaarulislam,com.

You might also like