DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NIKAH , DAY : 273,

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :Har Qisam ki Talaq Hojati hai,Magar Jo Shaks Zahni Taur per Theek Na ho(Pagal) to uski Talaq Nahi hoti hai.
(Vol/1,H,No :1229),
Dars :Pagal ki Talaq ?
Shadi se pahle wo Acha tha,lekin baad me kisi Hadseh ki wajah se Pagal hogaya ho,ab wo talaq deraha ho to us pagal shohar ki talaq Nahi hoti hai,kyu ke wo zahni taur per Sahi Nahi hai,to talaq me zahen ka sahi hona hai,
Zahen ke sahi hone ya Na hone ke lehaz se uski chand soorato me Talaq ka hukm bhi lagta hai,baaz me Nahi…
■■ Nasheh ki Halat me Talaq hojati hai,(Nasheh ki talaq ke bare me Ualam e kiram ka ikhtelaf hai),lekin jumhoor ke paas talaq hojati hai,
●● Ghusseh ki Halat me Talaq hojati hai,
♧♧ Neend ki Halat me Talaq Nahi hoti hai,
■■ Pagalpan ki wajah se TALAQ nahi hoti hai,
♤♤ Baaz pagalpan aysa hota hai,ke koi shaks 1 Ghanta (1 hour) Sahi rahta hai,aur 1 ghanta pagalpan ka daura padta hai,to aysi halat me jab wo zahni taur per sahi halat me ho aur talaq de to iski talaq hojati hai,
magar jis waqt me usko pagalpan ka daura pade,phir wo talaq de to ab uski talaq Nahi hoti hai,
Iske alawah kayi soorate hai,insha Allah baad me bayan ki jayegi.

Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..:anwaarulislam,com.

LikeShow more reactions

Comment

You might also like