DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NIKAH , DAY : 274,

Hazrat Furaiah Binte malik bin Sinan(raziyallahuanha) se rivayat hai,unhone kaha ke :Jab Mere Shohar ka Inteqal huva tha to Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Quran me jo Iddat batayi gayi hai,Utne din ghar me raho,Yaha tak ke tum apni iddat poori karlo,

Maine Quran ki iddat shumar ki to wo :
4 Mahineh 10 din hai.
(Vol/1,H,No :1244),
Dars : islam me ye hukm hai,ke Jab kisi Aurat ke shohar ka Inteqal hojaye to usko 4 Mahine 10 Din(4 Months and 10 Days) apne Ghar me iddat guzarna hai,is iddat ke dauran Zeenat aur Baher jane se mana kiya gaya hai,
Haan,Agar koi zaroori kaam ho to us kaam ke had tak jaane ki ijazat hai,
Yaad rahe ke ye Hukm Sirf Bibi keliye hi hai,Saare Gharwalo keliye ya Rishtehdaaro keliye Nahi hai,
■■ Bivi ye iddat apne shohar ke ghar me bhi guzar sakti hai,agar makan zaati na ho ya shohar ke makan me sahi sahoolat ya Pardeh(Hijab) ka sahi Mahol Na ho to apne Walid ya Apne Bhai ke Ghar me bhi iddat guzar sakti hai,isme koi Haraj Nahi hai,
●● Baaz log is iddat ko 4 mahineh(4 months) aur Baaz log 5 mahineh (Months) kahte rahte hai,ye “BILKUL GHALAT” hai,aur Ye Quran me aye hukm ke Khilaf hai,
☆☆ Baaz log Jab Bewa Aurat ye Iddat Guzarti hai,to iddat ke Baad kisi Dargah etc..me jakar Waha 1 Raat Rahne ko Khate hai,Ye Bhi
“BILKUL GHALAT “hai,iska Kahi se Suboot Nahi hai,kyu ke Jab Bewa Khatoon iddat Guzarleti hai,ab to usko Aur bhi Ehtiyaat se zindagi guzarni hoti hai,ab usko kahi tanha chodna Fitneh me daalne ke barabar hai,
Aur bhi kayi Ghair sharyee baate aur kaam log Ulam e kiram ko pooche baghair karte hai,jo ke khud unko hi Noqsan me daal dete hain,
Allah hame Sharee Ahkaam ko samajhne ki Taufeeq ata kare…Ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..: anwaarulislam,com.

You might also like