DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : QASAM AUR MANNAT, DAY : 303,

Hazrat Sabit Bin Zahhak(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Nabi e Akram

(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jin Cheezo aur Kaamo ka Insaan Malik Nahi hoga to unme Nazar(Mannat) Ka Etebar bhi Nahi hoga .
(Vol/2,H,No :1612),
Dars : Yani Bandah aysi Baato ki Mannat ya Qasam khale ke jinki wo Taqat Nahi rakh sakta ho to unme Nazar aur Qasam ka koi etebar bhi Nahi hoga,Jaise…ke…
Agar kahe ke mai Aasman Ko Chule,Samandar ka Paani peele(Drinking),Dunya ke saare Kankar ko Count karle to Ye….Kaam karunga…jaisi Mannat maange to aysi Mannate Wajib Nahi hoti hain,
■■ Mannat ka etebar usi waqt hota hai,jabke us Mannat me Bandeh keliye Taqat bhi,aur Allah ke Hukm ki ita’at bhi ho,Jaise ke..Bandah kahe ke agar mai Exam me Kamiyab(pass) hogaya to 10 Rozeh rakhunga,ya 10 din Etekaaf karunga..etc to aysi Mannat ko Poori karna wajib hai,kyu ke isme 2 Baate maujood hai,
●● Aysi Mannat Maangna ke Kaam hone ke Baad 100 Nariyal(Coconut) Phodunga,etc.. jaisa ke Baaz log aysi Mannate maangte hain,to ye Munasib Nahi hai,kyu ke isme Ghairo se Mushabahat hoti hai,aur doosro keliye Ziyadah faidah bhi Nahi hota hai,lehaza aysi mannate Nahi maangna chahiye,
Haan,Kaam hone ke Ghareebo ko Khana khilane,etc..jisme Bando ka faidah ho to us tarah ki Mannaate Maang sakte hain,
Allah hame Deeni Ahkamaat sahi samajh kar us per Amal karne ki Taufeeq ata kare…ameen.

Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web sitem..anwaarulislam,com.

You might also like