DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 493,Hadees No :2182,

 

Hazrat Suwaid Bin Tariq(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Sharab Beemari hi hai,wo kisi Beemari keliye Dawa Nahi hosakti hai.
(Vol/2,Hadees No :2182),
Dars : Har Beemari ki koi Na koi Dawa Zaroor hoti hai,per Sharab Tamam Beemariyo ki Bunyad hoti hai,isko Dawa keliye istemal karna Sahryi wa Aqli dono taur per Jayiz Nahi hai,
●● Baaz Log Kahte hain,ke Doctor Kah rahe hai ?
Ulama e Kiram farmate hain,ke Aysi Soorat me uska koi Badal yani doosri dawa,doosra Mahir Doctor ya tariqah ko apnaye warna Jaan hi Jaane ka darr ho uske baghair koi Rastah hi Na ho to Ab usko Dawa keliye Zaroorat ke muvafaq istemal karsakte hain,warna Ijazat hi Nahi hai,
Ab Sceince ki taraqqi ne to kayi Mukhtalif dawaye(Mdecines) aur Techniques ijad (create) kiye hain, ke Sharab Tak Jane ki zaroorat hi Nahi hai,
■■ Baaz Sharabi jo Sharab ko hi Sab kuch bana liye hain,to Sharab unkeliye Dawa kabhi bhi Nahi hosakti hai,kyu ke wo to uskeliye Waba(Beemari) hai,Dawa Nahi..
Allah hame Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like