DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 494,Hadees No :2185,

 

Hazrat Ibne Abbas (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mareezo ko Kaan(ear) se,Mooh(Mouth) se dawa dalna,Hijamah karvana,aur Doosre ilaj karva sakte hai,aur Surmah me Behtreen Surmah Ismid Naam ka Surmah hai,jo Aankho ki Beenayi ko Tezz karta hai,aur Palko ke Baalo ko bhi Badha karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2185),
Dars : Deen e ialam Beemari se Najat ke har tariqeh ko istemal karne aur Bando ko Sehat se Sarfaraz rahne ki taraf tawajjuh dilata hai,aur ilaj ke Naye Naye Tariqo ki taraf bhi Rahnumayi karta hai,
●● Hijamah to is daur me Alhamdulillah Aam hogaya hai,jisme Insaan ke badan se chand khas maqamaat se Zayid ya Fasid khoon(Blood) ko nikala jata hai,ye har koi Karva sakte hai,jis se Bandah Har qisam ki Beemariyo se Najat pata hai,insha Allah,
■■ Raat me Sone se Pahle Her Roz 3 Baar Nabi e Akram
(sallallahualihiwasallam) Surmah lagaya karte,to Hame bhi Chahiye ke Surmah ka ziyadah se ziyadah istemal kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like