DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 495,Hadees No :2186,

 

Hazrat imran Bin Haseen (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne Badan ki Beemari ko Aag se Jala kar(burning) ilaj karvane se Mana farmaya,to Baaz Logo ne us daur me jo ke Jala kar ilaj karna Aam tha,to unhone us se ilaj karvaya phir kaha,ke Humne us ilaj ke tariqeh me koi Kamiyabi wa Shifayabi Nahi paye.
(Vol/2,Hadees No :2186),
Dars : Aag se Jalakar ilaj karna jisme Badan ko shifa kam aur Noqsan ziyadah horahi hoti hai,isliye us tariqah e ilaj se Deen islam me kiya gaya hai,
●● Is Hadees e Paak me is baat ki taraf bhi isharah milta hai,ke Har wo ilaj ko Sharee wa Aqal ki khilaf ho aur jisme Noqsan bhi ziyadah ho to us ilaj se door rahna chahiye,
Aaj kal Mahol hi ye bana huva hai,ke jo koi Naya ilaj bata de..ya koi nayi dawa bata de to uske baare me Sahi malumaat malum kiye baghir hi usko istemal karna shuru kardete hain,lekin Musalmano ko chahiye ke apni Firasat(Roohani Zahni Taqat) ko istemal kare phir Shareeat ke mutabiq ilaj karvaye,kyu ke Shareeat musalmano ko kisi bhi Maqam wa Halat me Tanha Nahi chodti hai,
Allah hame Aqle saleem se Moamalaat ko apnane wala banaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like