DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 498,Hadees No :2194,

 

Hazrat Mughirah Bin Shobah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandah Apni Beemari ka ilaj Badan ko Jala kar ya Ghairo ke Tsreeqo per Jhad Phoonk kare to wo Tawakkul se khali hojayega.
(Vol/2,Hadees No :2194),
Dars : Beemari ko khatam karne pahle zamaneh me Bada ke kuch khas Hisso ko jala kar ilaj(treatment) kiya jata tha,to us tareeqah ilaj se islam me roka gaya hai,kyu ke usme ilaj ke saath saath doosre Noqsanaat bhi ziyadah paye jate hai,
●● Jhad Phoonk ? Allah ke Zikr,Durood e Paak,Qurani Ayaat ya Sureh aur Duavo ke zariyeh Roohani ilaj(Treatmemt) aur Inki Taveez istemal karna Sunnat se Sabit hai,aur ye koi Shirk ya Bid’at Nahi hai,
Haan,Jo Ghair Muslimo ke Mantar(unki Batil Mazhabo ki Baatil kitabo ke Baaz Hisseh) ya unke Buto ke Naamo se ilaj kar raha ho ya Karvata ho to dono gunahgar honge,aur isko Shirk kaha gaya hai.
Allah hame islami Taleemat ko samajh kar Amal karne ki taufeeq ata farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com

You might also like