DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 499,Hadees No :2198,

 

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Jab kisi ko Nazar lag jati ya koi Beemar hojata to Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sureh Falaq aur Surah Naas Padh kar us shaks per Dum kiya karte.
(Vol/2,Hadees No :2198),
Dars : Insaan ki Nazar ka lagna Haq hai,aur Hadees me yaha tak aya hai,ke Agar koi Cheez taqdeer se bhi badh jati to wo Nazar hoti..yani Isme nazar ki Haqeeqat ko batane keliye aysa kaha gaya hai,jabke koi cheez Taqdeer se aage Nahi badhti hai,
●● Har insaan ko Chahiye ke jab wo kisi doosre insaan ki Nemat(Awlaad,Job,Car,Bike,Ghar etc…) ko dekhe to dil me Hasad wala khayal Na laye Balke Zuban se “MASHA ALLAH” kahe to Buri Nazar se Hifazat hojayegi,
Agar Nazar lag jaye to Sureh Falaq(Qul Awuzu Birabbil falaq….) aur Sareh Naas(Qul Awuzu Birabbinnas…) padh kar dum kare to insha Allah Nazar ka Asar khatam hojayega..
Allah ham sabko Nazar lagne wa lagane se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like