DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 502,Hadees No :2203,

 

Hazrat Ibne Abbas (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Agar koi Cheez Taqdeer se aage badhne wali hoti to wo Insaan ki Nazar hoti,Nazar ka lagna Haq hai,Jab Tumhe Nazar lage aur Ghusl karne ko kaha jaye to Ghusl karlo.
(Vol/2,Hadees No :2203),
Dars :Yani Taqdeer se aage koi Cheez Nahi badh sakti hai,Balke Jab kisi ko Nazar lag jaye to samjho ke ye bhi taqdeer me se hi hai,ye Nazar ki Haqeeqat ko batlane keliye kaha gaya hai,taake Bandeh Nazar se mahfooz rah sake..
●● Nazar ke Asar ko Kam karne ke Noskho me se Ek Noskha ye bhi hai,ke Jisko Nazar lagi ho to usko Sureh Falaq wa Sureh Naas 11 Baar padh kar Paani per Dum karke Ghul dene se Nazar ka Asar kam hojayega,insha Allah,
Aur Jo Motabar Aamil Hazrat Apne Tajrubo ki Raoushni me Quran wa Hadees ki Taleemat ko saamne rakh kar Wird etc..karke bhi Ghusl karne ko kahe to bhi Ghusl karne se faidah hi Naseeb hoga,insha Allah.
Allah hame Nazar ki Pareshaniyo se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like