DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 501,Hadees No :2202,

 

Hazrat Habis Tameemi (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Hamah koi Cheez Nahi hai,Haan,Nazar ka Lag Jana Haq hai.
(Vol/2,Hadees No :2202),
Dars : Hamah yani Pahle Zamaneh me aur is zamaneh me bhi Baaz logo ka khayal hota hai,ke : Ghar me Ulloo(Owl) me ajaye to Museebato ka aana aur Baaz ke Paas Ulloo ka Raasteh me ajane se Preshani ka aana etc..Alag alag Batil kahayalaat rakha karte the aur Ab bhi Baaz rakhte hai,jiska Sakhti se Islam me Radd(reject) kiya gaya hai,
●● Ulloo(Owl) ke Bare me Baaz baate Tareekh e Haiwanat me batayi gayi hain,ke : Ulloo ko Arabi Zuban me “Ghurab ul Lail” (Raat ka Kawwa) kaha jata hai,aur isko Arabi Zuban me “BOOM” ke Naam se pukara jata hai,ye Apne Aapko Sab se Khubsoorat Samajhta hai,iski Awaz se Saanp aur Bichoo bhi darte hai,isko Raat me dikhayi deta hai,aur Din me iski Aankho ki Raushni kam hojati hai,
Ye Raat me jo Ghonsla(Nest) pata hai,to usme Raat guzar leta hai,aur doosre parindo ke Bache aur Ande(egg) khajata hai,jiski wajah se Doosre Parindeh(Birds) aur iske darmiyan Dushmani hoti hai,isi wajah se Shikari Parindo ke Shikar keliye Jaal ke Peeche ya Neeche Ulloo ko rakhte hai,taake Parindeh Aasani se Jaal(Net) me phans jaye,Bus Yaad rakhe ke Ulloo bhi qudrat ki Nashaniyo me se Ek nashani hai,ye koi Museebat ka pahad Nahi hai,
■■ Nazar :Insaan ki Nazar me Allah ne Taseer rakhi hai,agar wo Nigah Saaf rakhe to Wo Nazar Dua Ban jati hai,aur agar Nigah Saaf Na ho to wo Nazar hojati hai,lehaza Hame Nazar se Bachne keliye Sureh Falaq aur Sureh Naas padhna chahiye insha Allah Bad Nazar se hi hojayegi.
Allah hame Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like