DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 619,Hadees No :2475,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Koun hai,jisko Mai Chand Baate Batado aur wo Us per Amal karega ? Ya Uski Taleem doosro ko dega ? To Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) ne kaha Ya Rasoolallah mai un per Amal karunga to Aapne unka Haath pakad kar ye Baate Bata di : Haram Cheezo se Bacho to Tum Sabse Ziyadah Ibadat Guzar Bandeh Ban javoge,Allah ki Taqseem(Taqdeer) per Raazi raho to Sabse Ziyadah Be Niyaz(Be Fikar) hojavoge,Apne Padosi se Husn e Sulook karo to Kamil Momin Ban javoge,Jo Apne liye Pasand karo to wahi Doosro keliye bhi pasand karo to Kamil Musalman hojavoge,Ziyadah Mat Hansa karo kyu ke ziyadah Hansi Dil ko Murdah kardeti hai.
(Vol/2,Hadees No :2475),
Dars : Jo Haram Cheezo aur Kaamo se Bachega to Uske Badan ka Har Hissah Shareeat ka paband hojayega,Kyu ke Halal ki utni Barkat huva karti hai,Bandeh ki Na farmani aur Sarkashi se Halal mahfooz karta hai,jab wo is tarah hojaye to Dheere Dheere wo Sabse ziyadah ibadat guzar bandah hojata hai,
●● Allah ke Har Faisleh per Raazi rahna chahiye kyu ke Bandeh keliye jo aur jitna Behter hai,Allah ke Alawah koi Nahi jaan sakta hai,to phir Allah us Bandeh se Raazi hokar usko Be Niyaz kardeta hai,
■■ Padosi ke baare me Deen e islam ne badi takeed ki hai,ke Padosiyo se Har Haal khushi ho ya Gham use Husn e Sulook ke saath pesh aana hai,unki Har Haal me Madad karni hai,jo aysa karega to Allah uske Eiman me kamal ata karega,
☆☆ Deen e islam Naam hi Doosro ke Saath Khair aur Bahalayi karna hai,yahi wajah hai,ke Dushman bhi islami Ahkamaat se Muta’ssir hojata hai,bus Doosro ke saath bhalayi khud apne liye bhalayi karne ke barabar hai,to jo apne liye ho to wahi doosro keliye bhi…
♢♢ Insaan jitna ziyadah Hansta hai,to uski Sanjeedgi khatam hojati hai,wo sonchna aur tadbeer karna chod deta hai,jiski wajah se Dil ke tezi khatam hojati hai,aur Dil Murdah hojata hai,Haan,kabhi kabhi Hans bhi sakte hain.
Allah Hame In Baato per Amal ki taufeeq naseeb farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like