DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 637,Hadees No :2497,

 

Hazrat Abu Wayil (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Hazrat Muaviyah(raziyallahuanhu) Hazrat Abu Hashim Bin Utbah(raziyallahuanhu) se mulaqat ki jo ke Beemar the jab wo Rone lage to Aapne kaha kis cheezne aapko Rulaya hai,koi Dard hai,ya Dunya ki Gharz Baaqi rah gayi hai,to aapne kaha kuch nahi bus Ek Hadees pe Amal Na hosaka ke
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tumhre liye Maal Jama karne keliye itna kaafi hai,ke Ek Khadim aur Ek Sawari Jo Allah ke Raasteh me Kaam ajaye.
(Vol/2,Hadees No :2497),
Dars : Dunya me Maal jitna bhi Jama kare wo kam hota hai,kyu ke Shaitan Mazeed dil me Hirs wa laluch paida hi kardeta hai,Jab Ziyadah Maal ki koi miqdar hi nahi hai,magar Maal ke kaafi hone ke baare me Ek Khadim aur Ek Sawari jo Deen ke kaamo keliye Kaam ajaye to ye Maal ke kaafi hone ki miqdar hai,Agar is se Kam ho to Sabr wa Shukr karna hai,agar Ziyadah ho to Shukr aur Ghareebo ki Madad karna hai,
■■ Jitna Maal ziyadah hoga qiyamat me utna hi Hisab bhi dena hoga,Ye Haqeeqat hai,ke Maal Bandah khud keliye Nahi aane wale Wariso keliye hi jama karta hai,Mazeh Awlaad lete hai,Hisab Baap ko dena padega,isi liye kin Raasto se Maal ko jama kar rahe hai,uska Acha Muhasabah karna hoga,Warna Dunya aur Akhirat dono me Zaleel hona padega..!!
Allah hum me Qina’at wa Shukr ki Sifat paida farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like