DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 636,Hadees No :2496,

 

Hazrat Abdullah Bin Masood (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jis per Tangi(Ghurbat) aye aur Wo Usko Logo ke Saamne Pesh kare to Uski Tangi Door Nahi kijayegi,aur Jo Tangi Aane Baad usko Allah ke Saamne Pesh karega to Allah usko Jald hi ya Takheer se Rizq ata karega aur Tangi door kardega.
(Vol/2,Hadees No :2496),
Dars : Jab Kabhi Bandeh per Faqr wo Faqah,Tangdasti ya Museebat ya aur koi Pareshani ajaye to usko Chahiye ke Uske door hone aur Khush Haali keliye Allah se Dua kare to Alla uskl Jald ya Der se lekin Zaroor usko Rizq wa Khush Haali ata karega,aur Jab Wo un Mushkilaat ka Hal Dunya Daar Logo ke paas lekar jayega to uski Mushkile Door Nahi ki jayegi kyu ke Wo Khaliq Wa Raziq e Haqeeqi ko chod Waqti Maal Walo se madad maang kar apne Eiman ki kamzori ka suboot de raha hota hai,jis se uski koi Dua Museebat wa Mushkil door nahi hogi..!!
●● Agar Bandah Aajizi wa Inkisari aur apne Aamal per Sharam saar hokar dua ki qubooliyat keliye Nek Logo ka Sahara lekar Allah se Dua maange to insha Allah uski dua qubool hogi aur ye Logo se Maangna Nahi kah layega kyu ke isme kayi log Shubah wa Shakk me Rahte hain.
Allah hamesha hamari duao ko qabool farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like