DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 639,Hadees No :2499,

 

Hazrat Abdullah Bin Busr (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha, Ek Aarabi(Deehati) Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Sab se Behtreen Insaan Koun hai,to
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jiski Umr(Age) Lambi ho aur Uska Amal Haseen ho.
(Vol/2,Hadees No :2499),
Dars : Baaz Logo ki Umr Bohat Kam hoti hai,Magar Wo Kuch Aysa Nek Kaam kar jate hain,ke Jo kayi Saalo me Pura hone wala hota hai,magar wo Kuch hi dino me Allah ki Madad se wo Kaam karelte hai,to Wo Bohat Saalo(years) Zindagi Guzarne ke Barabar hote hai,
Aur Kuch Log Ayse Hote hai,jo Zindagi me Kayi Saal zindagi guzarte hai,magar wo Apni Niji zindagi aur Dunyavi kaamo me hi me masroof rah jate hai,to ayse log Behtreen logo me shumar Nahi honge,
Aur Baaz log apni Saari zindagi ke Din Bure Kaamo me guzarte hai,jis se khud aur Doosro ko takleef hoti ho to ye Sab se Bad Tareen log hain,ayse logo ka dunya me Bad logo me hi shumar hoga..!!
To zindagi ko Behtreen banana ho to Deen e islam per chale to khud zindagi Behtreen ban jayegi insha Allah.
Allah hame Behtreen logo me se banaye.Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like