DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 640,Hadees No :2500,

 

Hazrat Abu Bakrah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Ek Shaks ne Sawal kiya Sab se Behtreen Aadmi koun hai ? To
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Sab se Behtreen Aadmi wo hai,Jiski Umr(age) Lambi ho aur Uska Amal Acha ho,to us Shaks ne Phir Sawal kiya ke Sab se Bad Tareen Aadmi koun hai ? To aapne Farmaya : Sab se Bad Tareen Aadmi Wo hai,Jiski Umr Lambi ho aur Uska Kaam Bura ho.
(Vol/2,Hadees No :2500),
Dars : insaan ki Zindagi se Wabastah 2 Ahem cheeze hai,wo hai Ek Umr(Age) aur Doosri Cheez Amal,
■■ Umr(Age) : Ye Taqdeer me jitni likhi hoti hai,Bandah Utne hi din Dunya me Zundagi Basar karta hai,aur Umr me Barkat keliye Nek Kaam karne se Barkat hoti hai,Ab Umr me Barkat ki kayi Tabeer hai,
Baaz Ulama e kiram ne Taqdeer ki 2 qisme Bana kar us masleh ko taqdeer e Mubarrar me rakh kar kaha hai,ke Allah ke Hukm se Bandeh ki umr me Haqeeqi Barkat bhi hosakti hai,
Baaz Ulama e kiram ne kaha hai,ke Bandeh ki Haqeeqi Umr me koi Izafah Nahi hota hai,Balke Wo Museebato se Mahfooz hojata hai,aur khush Haal zindagi guzarta hai,
Bahrehal Zindagi ka Har Din Ahem hai,usko Hame Nek Kaamo me guzarna hai,
●● Amal : Dunya me 2 qisam ke Amal hai,1 Nek Mal to 2 Bura Amal ab kis Amal ko Chun na hai,wo Bandeh ke ikhtiyar me hai,kyu ke Allah ne Bandeh ki Aqal jaisi Azeem Nemat ata kiya hai,uske zariyeh Bandah Apna Amal chun ne ka ikhtiyar rakhta hai,Acha Amal Chune to 2 Jaha Ache aur Agar Bura Amal Chune to 2 jaha me Khasarah wa Noqsan hai.
Allah hame Nek Kaam ki Taufeeq Naseeb kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like