DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 641,Hadees No :2501,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Meri Ummat ki Umr(age) 60 Saal(60 years) se 70 Saal(70 years) tak ki hogi.
(Vol/2,Hadees No :2501),
Dars : Pichle Zamaneh ke Logo ki Umr 1000 Saal,500 Saal aur 200 Saal tak ki bhi huva karti thi,lekin Ummat e Mohammadiyah ki umr utni ziyadah Nahi hai,Balke unse Bohat Kam hai,aur Amal aur Ajr ke etebar se Bohat ziyadah kyu ke Is Ummat ki khusuisiyat me Shabe Qadr hai,is ek raat me ibadat karna 1000 Raato me ibadat karne se bhi Afzal hai,aur is ummat me waswasah se aane wale bure khayal Amal karne tak bhi maaf hai,Haan agar us Bure khayal par Amal kare to Gunah hai,etc kayi cheeze hai,jo is ummat ka khassa hai,Umr Choti hai,magar Nek Amal karne se Nekiyo ka Ajr bhi Ziyadah hai,
●● Umr ka chota hona Nekiyo ki kasrat, Ghaflat se Doori aur Akhirat ki tayyari ki taraf isharah hai,
♢♢ Iska Matlab Bandah Jab 40 Saal ka hojaye to wo zindagi ke Aakhiri stage per hai,to usko kam se kam Ab to taubah karke Akhirat ki tayyari karna hoga,jab ke Shuru se hi Nek Amal aur taubah karna hai,agar jab taufeeq Na mili ho to Usko ab to Tayyari shuru karleni chahiye,
Ye Baat bhi Zahen me rakhe ke 60 se 70 Saal ki umr Kasrat ke etebar se hai,warna Baaz us se pahle ya uske Baad bhi inteqal karsakte hai.
Allah hame Apne Mahbub Bando ki zindagi Naseeb farma..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like