DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 643,Hadees No :2503,

 

Hazrat Abdullah ibne Umer (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) Mera Kaandha pakad kar farmaya : Dunya me Musafir ki tarah ya Raasta Paar Karne wale ki tarah Zidagi Guzaro,aur Apne Aapko Marne walo me Shumar karo.
(Vol/2,Hadees No :2503),
Dars : Bandah e Momin ko ye taleem di jarahi hai,wo Wo Is Dunya me Faani(khatam Hone wali) aur Akhirat ko Baaqi(Hamesha Baaqi rahne wali) Samajh kar zindagi guzare aur Apni Sehhat ko Beemari se pahle,Faraghat ko Mastoofiyat se pahle,Jawani ko Budhape se pahle,Zindagi ko Maut se pahle etc..ghaneemat jaanle to insha Allah Amal me Barkat aur Mahol me Allah ki Rahmat barsegi Zahiri taur per bhi aur Batini taur per bhi..
■■ Apne Aapko Marne walo me Shumar karne ka matlab Bandeh ko kisi na kisi din is dunya me jana hai,to Agar wo Har din Maut ko yaad karta rahe to Sarkashi aur Gunaho se Hattal imkaan wo mahfooz rah sakega…insha Allah.
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like