DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 646,Hadees No :2508,*

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Agar Insaan ke Paas Ek Sone(Gold) ki Wadi bhi hoti to Wo Aur Ek Doosri Sone ki Wadi ki Tamannah karta,Yaad rahe ke Insaan ki khahishe Mitti ke Alawah koi Pura Nahi karsakti hain,aur Allah Taubah karne wale ki taubah ko zaroor Qubool karta hai.
(Vol/2,Hadees No :2508),
Dars : Yani Insaan ki Tabiat me Hirs wa Laluch bhara pada hota hai,Jiska Miyaar is baat se lagaya ja sakta hai,ke Ek Sone ka Pahad bhi uske Paas ho to Batini Hirs ukso Aur ek Doosre Pahad ki Hirs wa Tamannah me daal deti hai,jabke usko chahiye ke jo uske Paas ho us se faidah Hasil kare lekin uski Nazar Aur Ziyadah per hoti hai,jiski wajah se Din Ka Chain aur Raat ka Sukoon dono kho deta hai,aur Pareshan Hirs wa Tamannah me ghoomta rahta hai,
●● Insaan ki khahisho ko Miiti pura karne ka matlab Insaan ki itni ziyadah Khahiseh hoti hain,ke Wo izindagi me puri Nahi hosakti hain,Haan,Jab Maut Ajati hai,aur usko Dafnaya jata hai,to Ab uski Khahsho aur Tamannavo ka Silsila ruk jata hai,wo Ab Khamoosh hojata hai..!!
■■ Ab Jo Had se Ziyadah khahishe wa Tamannah Dil me rakhe ho ya Baaz log un Khahisho ko pura karne me Haram ke Raasto ko ikhtiyar kiye the ho to Ab wo In Kaamo ko chod de aur Taubah karle aage Qinaat,Sabr wa Shukr ki zindagi guzarne ka Wada karle to insha Allah Allah taubah bhi qubool karega aur Halal Rizq ke raasteh bhi kholega.
Allah hame Tere Har Faisleh per Raazi raahne wala Banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic services Click here
www.anwaarulislam,com.

You might also like