DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 645,Hadees No :2507,*

 

Hazrat Ka’ab ibne Iyaz (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Ummat ki Ek Azmayish hoti hai,aur Meri Ummat ki Azmayish(fitnah) “MAAL” hai.
(Vol/2,Hadees No :2507),
Dars : Sabiqah Saare Ambiya e Kiram(Alihumussalam) ke ummatiyo ko kisi na kisi cheez ke zariyeh Azmaya gaya tha,jiski wajah se Wo Azmayish me padgaye tha aur Ummate Mohammadiyyah yani Hamari Azmayish wa Fitnah “MAAL” hai,jis ke sabab Banta apna Eiman bhi khodeta hai..!!
●● Aaj Har Maidan me Dekhiye Aap Jo bhi Field lele Aksar Log Khidmat ke Naam per Tijarat karte hai,jabke wo Bazar me ho to Quality ke Naam tijarat kare Bus wo Khidmat ka Bahana bana kar logo ko meethi meethi Baate karke unse Maal hasil karte hai,Yani CHEEN lete hain,
Ye Baat bhi Yaad rakhe Kitna bhi Bhola pan aur Hoshiyari Dunya me dikha le lekin Akhirat me Har qisam ka Raaz khulne wala hai,aur uska Hisab to Barabar hone wala hai,
Taubah Apni Jagah aur Hisab apni jagah,
■■ Dunya me jitne bhi log Maal jama kiye ho Unhe Apna Maal Wariso keliye hi Chod kar Jana pada hai,aur mustaqbil me bhi yahi hoga,
Haan,Agar wo Maal Deeni Kaamo me kharch kare to usko Akhirat me Nekiyo ka Ajr wa Sawab zaroor milega,lehaza Maal Sahi Raasto se kamana hai,aur Ache Kaamo me kharch karna hai,warna uska Bura Asar Awlaad per padega jiski wajah se wo Na Farman niklenge…!!
Allah hame Halal tareeqo se Maal kamane ki taufeeq Naseeb farma..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more islamic services Click here
www.anwaarulislam,com.

You might also like