DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 648,Hadees No :2510,*

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Insaan Apni Zindagi ke Din Guzarte huve Budha Hota jayega,Magar Wo Lambi Umr(long Age) aur Maal ke Hasil karne ke Bare me Jawan hi hota jayega.
(Vol/2,Hadees No :2510),
Dars : Ye Dunya Maidane Amal wa Azmayish hai,is se jitna Door rahoge utni Door chale jayegi aur iske jitna Qareeb hoge aur Jitna Gahra ta’alluq qayim karloge utni hi ye Gahri aur Qareeb hojayegi,
Dunya se Doori Wahi ilaj Allah ke Ahkamaat ki pabandi aur kisi Nek Buzrug se Wabastagi honi chahiye jinse Deeni wa Roohani faiz hasil karsake aur apni Dunya wa Akhirst sanwar sake..
■■Lumbi Umr Allah ki ita’at me Na guzre to Kuch Din ibadat me guzarne wali umr se bad tar hai,ye ibdadat me guzarne wali Choti umr Bohat Behter hai,
Lehaza Lambi umt Nahi balke Bandagi wali umr ki tamannah rakhni chahiye,
●● Maal : Maal jitna ziyadah hoga Hisab bhi utna Sakht hoga aur lambi fehrist saamne hogi Ek Ek Paise ka Hisab dena hoga,aur Usko Sahi Raastes istemal Na kare to uska bhi Hisab dena hoga,
Lehaza Agar Maal zaroorat se Ziyadah Na hoto Sabr aur Allah se dua kare aur agar zaroorat se zoyadah ho to Shukr aur Sadqah khairat kare jo Dunya aur Akhirat me Najat ka sabab hoga warna Wahi Maal Qabr me Saanp(snake) ban kar dhansta rahega..!!
Allah hame Ibadat wali zindagi aur Halal Maal naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more islamic services click here :
www.anwaarulislam,com.

You might also like