DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 649,Hadees No :2511,*

 

Hazrat Abu Zarr (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Zuhud(Dunya se Doori) Halal ko Apne Per Haram karlena aur Maal ko Zaaye(waste) karna Nahi hai,Balke Zuhud to Ye Hai,ke : Apne Paas jo Hai,us per Nahi Balke Allah ke Paas jo hai,us per Ziyadah Bharosha Karna hai,aur koi Museebat ajaye aur wo kayi Baar akar Hamare Saath hi rahe to us per Raazi rahne ka Naam hi Zuhud hai.
(Vol/2,Hadees No :2511),
Dars : Halal ko Apne Per Haram karlena ye Gunah hai,aur Allah ke Hukm ki Na farmani lazim ayegi aur Maal ko Zaye Karna bhi Na Shukri kahlayegi lehaza in se Bachte huve Allah ki zaat per Kamil Bharosah rakhna aur Uski Azmayisho ko Rabb ki ata samajhna hi Zuhud hai,
■■ Rabb e Mahboob ki Janib se Milne Wali har Museebat ko ata samajh kar us per Sabr karne ka Naam hi “BANDEH KI WAFA” hai,warna Rabb ki museebato per Shikwah aur Shikayate karna “DAGHA” kahlayega jo 2 Jahan me Na Muradi ka saban hoga.
Allah hame Rabb ke har faisle per Raazi rahne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more islamic services click here
www.anwaarulislam,com.

You might also like