DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 658,Hadees No :2521,*

 

Hazrat Abdullah Bin Amr (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kamiyab huva wo Shaks Jo Islam Qubool kiya aur Uska Rizq uskeliye Kaafi ho aur Usko Allah ne Qina’at ata ki ho.
(Vol/2,Hadees No :2521),
Dars : Bandah Jab Musalman hojata hai,to Allah uske Pichle Saare Gunah Maaf kardeta hai,Ye usko Taharat Deen e islam ki wajah se Naseeb hoti hai,phir Jab Wo Allah ke deye huve Rizq ko kaafi samajh leta hai,aur Us per Shukr Baja lata rahta hai,to Allah usko Qina’at jaisi Nemat se Mala maal karta hai,Qina’at ye hai,ke Maujoodah Nemato per Shukr aur unko Kaafi samajhna aur Har Haal me Sabr karne ka Naam Qinaat hai,lehaza Kafir Chahe kitna Bhi Sabr kare ya Jitna Rizq ho usko Kaafi Samajhle Wo Kamiyab ho hi Nahi sakta hai,kyu ke Uske Paas Deen e islam wali Azeem Nemat hi Nahi hai,jiski wajah se Wo Aur Uska Saara Khandan Hamesha Kisi na kisi Pareshaniyo me Mubtala rahte hai,jo unke 2 Jahan me Na Kamiyabi ki Alamat hai.
Allah hame Har Maqam me kamiyabi Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..

You might also like