DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 660,Hadees No :2523,*

 

Hazrat Abdullah Bin Mughaffal (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Ek Sahabi e Rasool ne kaha ya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Mai Aap se Mohabbat karta hoon,to
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Achi Tarah Sonchlo Tum kiya kah rahe ho to Wo Shaks ne phir Kaha Allah ki Qasam mai aap se Mohabbat karta hoon is tarah 3 baar uhone kaha,phir aap ne farmaya to tum Faqr o Faqah(Ghareebi) keliye Tayyar hojavo,kyu ke Jo Mujh se Mohabbat karta hai,to uske Paas Ghareebi Sailab se bhi ziyadah Tezz uske paas Pahonch jati hai.
(Vol/2,Hadees No :2523),
Dars : Ye Dastoor e Hayat hai,ke Mahboob ka Asar Mohib(Mohabbat) karne wale per pad jata hai,to Qurban kaye Aqa e Do jaha sallallahualihiwasallam per ke 2 jaha ke Khazaneh ki Kunjiya aapke paas hone ke ba vajood Apni Ummat ko Mehnat aur Sabr ki taleem dene keliye aapne Ghurbat ka intekhab farmaya,aur ummat ko mushkil Halaat me kise Aage badhe uske taleem se nawaza aur Dunya Zindagi ke Be Waq’ati aur Akhirat ki Ahmiyyat Batlye,
●● Jo Mohabbat e Mustafa me hoga Wo Zaroor dunya me Anjana aur Ghareeb hoga lekin Akhirat me aur Buzrugo ke Mahfilo me Uska Bohat Bada Rutbah hoga aur Jannat me Aaqa ke saath uski Majlis hogi,jo Izzat wo dunya me khoyega Akhirat me Dugni izzat Naseeb hogi,aur ye Mohabbat sirf Baato se Nahi Sunnato per Amal karke Sabit karni hogi aur Mahboob ki Har ada ko Zindagi ke Har pahlu me apnana hoga warna Zubani Alfaaz se Mohabbat Nahi hosakti hai…!!!
Allah hame Sachi Mohabbat e Nabi sallallahualihiwasallam naseeb kare..Ameen ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like