DARSE JAMIUT TIRMIZI.CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 661,Hadees No :2525,*

 

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mohajireen(Jo Log makkah se Hijrat karke Madeenah aye hai) me Se Jo Ghareeb hai,wo Unke Ameer Logo se 500 Saal Pahle Jannat me Dakhil honge.
(Vol/2,Hadees No :2525),
Dars : Hadees e Paak me Mohajireem Makkah ki fazilat bayan karne ke Saath Saath Ghurbat Aur Faqah kashi ki fazilat bhi Bayan ki gayi hai,ke Jo Ghareeb bhi magar uske dil me Noor e Eiman Roushan ho to wo Allah ke utna hi qareeb hota hai,uski ghurbat Allah ke Qurb me doori Nahi paida karsakti hai,Bus Ikhlas ki zaroorat hoti hai,
●● Yaha Un Ameero ko bhi Dars hai,ke Wo apni Har Choti aur Badi Cheez ka dikhava Ghareebo ke saamne karte rahte hai,taake Ghareebo ke dil ko takleef ho aur uske dil me Na shukri paida ho lekin ayse ameero se wo Shukr Guzar Ghareeb 100 darjah behter hote hai,Unke Paas Maal to Nahi hota hai,Magar Husn e Akhlaaq se wo Maala Maal hote hain,aur apne Rabb ko hi Haqeeqi Malik samajhte hain,aur Mutakabbir Maal daar se Allah Chain aur Rahat ko hi khatam kardeta hai,
To Malum huva ke Ghareeb hona Ayb Nahi aur Na hi Allah se doori ka sabab hai,Balke ye Darjah bhi to Allah ki Ata hai,jisi Hum Sabko qubool karna hai,Maal ka koi Bharosah Nahi aaj rahe Kal ko kisi Noqsan ya Hadseh se khatam hojaye..!!
Allah hame Har Haal me Rabb ke Shukr Guzar Bandeh Bankar zindagi guzarne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like