DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 666,Hadees No :2532,*

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) aur aapke Gharwalo ne Apni Saari Hayat e Tayyibah me Musalsal 3 din Ek Mukammal Gyahu k Roti tak bhi Nahi Tanavul farmaye.
(Vol/2,Hadees No :2532),
Dars : Ye Gharana hai,Hamare Rasool e Paak sallallahualihiwasallam ka ke jo Ummat ki bhalayi wa Barkat keliye to hamesha Duae karte rahe aur khud Bhooke rah kar zindagi guzar di..!!!!
■■ Kisi Insaan ka kisi bhi Maidan me kamiyabi aur kamrani keliye uske gharwalo ke saath ki bohat zaroorat hoti hai,jab uske gharwale uske saath hojate hain,to phir wo har maidan me aasani se kamiyabi Hasil karleta hai,lehaza Shohar ya Bivi Taqweh aur Deeni raasteh ko ikhtiyar kare to un dono ko chahe ke ek doosre ka saath de aur Ek doosre per tana na de taake wo dono aage ke marhale ko aasani se tay karsake aur roohani manazil me tarqqi karsake aur apni dunya wa akhirat sanvar sake,
Dunya me asal kamiyabi sirf Maal hi nahi hai,balke Nek Aamal se hi dunya ki kamiyabi naseeb hoti hai,
Allah hame aur hamre gharwalo ko deeni mahol naseeb kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like