DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 667,Hadees No :2534,

*

Hazrat Ibne Abbas (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) aur aapke Gharwale kayi Raato Bhooke Pet hi Aaram kiye hain,kyu ke aapke gharwalo ko khana nahi moyassar hota,aur aapke gharwale Aksar jawar ki Roti hi tanavul farmaya karte.
(Vol/2,Hadees No :2534),
Dars : Iska Matlab ye nahi ke aapke paas Rizq ke Asbaab Na the balke agar aap chahte to Rozanaha Jannat se Kayi Qisam ke khane utarte lekin aap ne aysa Nahi kiya kayi mushkilo ko bardasht karne ki taleem di phir un Mushkil Halaat me bhi Rabb ki ibadat aur Zikr ko Nahi choda aur Sabr wa Shukr ko thaam kar rakhe aur Saari ummat keliye Uswaeh Hasanah ko pesh kiye,
■■ Aaj Hamare Aksar Gharano me Ziyadah Tavajjuh khaano per hi hoti hai,aur Baaz Logo ka zahen aksar lazeez khano ki taraf hi hota hai,
Yahi wajah se aaj Hamari Bahno ki Shadiyo me umdah khane ka Mizaj hi ek badi rukawat bana huva hai,
Kaash Hum Apni Zaati Mafad aur Badani wa Lisani lazzat ko chod kar Sunnato per Amal karte is tarah Har maidan me Na Kaam Na hote..!!
Haan,agar Uswaeh Hasanah ko apnaye to insha Allah hame Izzat wali kamiyabi Naseeb hogi.
Allah hame Khane se ziyadah Kuch karne ki taufeeq Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like