DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHPATER: SALAH (IQTEDA), DAY :157,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha, Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Namaz me Imam se Pahle Apna Sar(Head) Utha leta hai,Kiya Us Shaks Ko Khauff Nahi hota ke kahi ALLAH uske Sar ko Gadhe ke Sar ki Shakal me Na Badal de !!!!!.
(Vol/1,H,No :585),
Dars : Momino; Is Hadees e Paak me Iqteda ke bare me wazahat ki gayi hai,ke Jab Imam ke peeche Namaz padh rahe ho to Imam se pahle koi Rukn ada Na kare Ruku,Sajdah,Qadah etc..tamam arkan imam uski Takbeer kah de to kuch waqfeh ke baad usko ada karn hai,Na ke Ruku etc..ki takbeer se pahle hi khud wo rukn ada karle to Iqteda hi Nahi hogi,aur Namaz Bhi Nahi hogi !!,
●● Gadhe ki Shakal ? Ye Anjam hota hai,un logo ka jo Imam se pahle hi ruku etc rukn me khud pahel karke amal karte hai,lekin Allah ko Ye Ada pasand hi Nahi hai,
■■ Baaz Imam bhi Lambi Awazo se Takbeere kahte hai,ye bhi Munasib nahi hai,kyu ke Namaz me Jawan,Buzrug(Old age) aur Havy Waight wale bhi hote hai,imam ko unka Bhi Khayal karna chahiye,
Allah sabko Amal ki taufeeq de..Ameen.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like