DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHPATER :SALAH,(MUSAFIR), DAY :152,

 

Hazrat Abu Nazrah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Hazrat Imram bin Haseen(raziyallahuanhu) se musafir ki Namaz ke Bare me Sawal kiya gaya,to aap ne kaha,Maine Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke saath Hajj ki Sa’adat hasil ki to aapne waha 4 Rakaat wali Namaz 2 Rakaat hi ada farmaye,aur maine Hazrat Abu Bakar,aur Hazrat Umer (raziyallahuanhuma) ke saath bhi Hajj kiya to ye Hazraat bhi Safar me 2 Rakaat hi ada kiye aur Hazrat osman(raziyallahuanhu) ke saath aapki khilafat ke zamaneh me 6 baar hajj kiya to bhi aapne 2 rakaat hi namaz ada farmaye.
(Vol,H,No:548),
Dars :Koi Musalman jab apne maqam se 77,ya 80 km,aur Baaz ulama 98 Kilo meter kahte hai, Faslah taye kare,aur 15 din se kam safar ka iradah ho to ayse shaks ko jo Namaze 4 Rakaat wali hai (Zohar,Asar,Isha) to inko 2 Rakaat hi ada karna hai,3 rakaat wali 3 aur 2 ko 2 hi ada karna hai,aur Ye Bando per Allah ki Taraf se Rahmat hai.
Aur agar 15 se ziyadah safar ka iradah hoto Namaze poori padhna hai,
Note :Ye Mazhabe Hanafi ke etebar se Tashreeh hai.
Musafi ki namaz ki aur tafseel insha Allah aage bayan ki jayegi.
Plz ..Share it to All,For islamic Service.

You might also like