DARSE JAMIUT TIRMIZI,DAY :887-HADEES NO :2835

Hazrat Ali Karramallahuwajhahu se Rivayat hai,kaha: RASOOLULLAH ﷺ ne farmaya: JO Koi Islami koi Hadd(punishment) Paya ho to uski Saza me Dunya me hi di jati hai,Bus Allah Ziyadah insaaf wale hai,is Baat se ke usko Dobarah Aakhirat me Saza de,pas Jo Bamdah Dunya me koi Hadd ko pata hai,to Allah uski Pardah poshi farmata hai aur usko Maaf kardeta hai,to jisko Allah Maaf karde phir uska Akhirat me Hisab le in Baato se Allah Bohat Aala hai.

(Jamiut Tirmizi ‘Vol/2Hadees No :2835),

Dars : Hadees e Paak ka mafhoom ye hai,ke Jo Bandah dunya me koi Gunah kiya ho ex..Chori kiya hai,to usko uske Badleh dunya me Haath Kaat diye gaye hain to phir usko Dobarah Akhirat me Allah Hisab Nahi lega kyu ke Uski Saza Allah ne usko Hadd (Punishment ) ki soorat me dediye hain to phir usko Akhirat me uska Hisab Nahi liya jayega,kyu ke Allah usko Hadd ke Baad maaf kardete hain,

■ Baaz Ulama e kiram ne Allah uska Dobarah Hisab lega ye bhi farmaye hai,to khulasah ye ke Bandeh ko Chahiye ke Ayse Aamal hi Na kare ke jis se usko Dunya wa Akhirat dono me Hisab bhi dena pade aur Ruswa bhi hona pade…!!.

Allah hame Har Gunah se Mahfooz rakhe..Ameen YA Rabbal Aalameen bijahi Taha wa Yaseen.

For more information please visit our website www.anwaarulislam.com.

 

?WRITTEN BY:-

MUFTI RAHMATULLAH QADRI

(FOUNDER MADARSAH ANWAARULISLAM LIL BANAT,TAYYAB NAGAR,MAHBUBNAGAR TELANGANA).

You might also like